Posted by: mindGames July 7, 2004
Oh the Poetry of Life!
Login in to Rate this Post:     0       ?        
Ola, thanks monika, i never read Madhushaalaa. Great! here goes some stanzas that i could google. Madhusaalaa -Harihvansh Rai Bacchan madiraalay jaane ko ghar se, chaltaa hae peene waalaa kis path se jaaoon asamanjas, mein hae woh bholaabhaalaa alag alag path batalaate sab, par maen yeh batalaataa hun raah pakad tu eka chalaachal, paa jaa aega madhushaalaa sun kalkal chhalchhal, madhughat se girti, praanon mein haalaa sun runjhun runjhun jal vitaran, karti madhusati baalaa bas aa ponhche door nahin kutchh, chaar kadam ab chalna hae behak rahe sun peene waale, mehak rahi le madhushaalaa lal sura si dhaar lapatetee, keh na ise dena jwalaa Yeh nil madira hae mat isko, keh dena ur ka chhaalaa dard nashaa hae is madira ka, vigat smrutiyan saaqi hein peeda mein aanand jise ho, aaey meri MADHUSHAALAA dharm granth sab jalaa chuki hein, jiske bheetar ki jwalaa mandir, masjid, girje sab kuchh, toade chuka jo matwaalaa pandit, momin, padariyon ke, phandon ko jo kaat chuka kar sakti hae aaj usi ka, swaagat meri MADHUSHAALAA Laalaa in adharon se jisne, haay nahein choomi haalaa harshit kampit kar se jisne, haay na chhuwaa madhu ka pyaalaa haath pakad lajjit saaqi ka, paas nahein jisne kheenchaa vyarth sukhaa daali jeevan ki, usne madhumaya MADHUSHAALAA. ---------
Read Full Discussion Thread for this article