Posted by: vantage point February 1, 2006
A leaf out of my past... Reminiscence.
Login in to Rate this Post:     0       ?        
Darshan Indis jyu, Peshekhitmat hai... Mafi chahati hoon deri ke liye kya karoon... Kadam the kuch sust sust aur dhadkan thi thami thami Sabab? Har shaam ek leher uthi thi dil mein Leher thi uski intezaar ka Umeed bhari nigahen padi raheti thi wohi naam per Mujhe yakin tha .. mujhe yakin tha ki woh ayega phir ek baar Aur mere khoye huye jajbaat jaag uthenge phir ek baar Uski aasmani libaaj aur gale ki peeli dor kahan bhoola paun mai wo sada chitchor Dabdabane lage mere nain padhkar uski adhoori dastaan Tajjoob hua sunkar mohabbat ne pighlaya pathhar Fakra hai un Cleopatra, Radha aur Laila per Jo de gaye is diwane ko wo pyaar beshumaar Ab apni daastaan kya sunaye hum Meera ne kahan chhina tha Radhe ka Mohan Wo to sirf darshan diwani hai kis kis ko samjhayen hum. Adaab ;)
Read Full Discussion Thread for this article