Posted by: confused_soul March 14, 2013
बन्टी और बबली ( प्यार दिवाना होयेल )
Login in to Rate this Post:     7       ?         Liked by

Ye katha Patna ke gao se hai. Us gao ke sarpanch babulaal apni imandaari ke liye sarbatra mahasoor bhayi rahel. Babulaal ki ek patni, do bête aur ek beti howi rahel. Beti Bubli ekdum khoobsoorat rahel, moti ki tarah, gulaab ki ful ki tarah. Babulaal apni beti ko kahel “Ey beti! Jawan ladki khuli tijori ki tarah bhayel, tu idhar udhar mat ghuma kar.” Par babulaal ko thode na pata, bubli to gau ke chokre bunty ke sath nain ma takka kheli rahel.

Ek din bubli college jawathe. Bunty bubli ka dekhan man me kuch kuch hawath. Bunty ne rumaal giraya, tirchi najar ladai , aur kaha, “Oye Bubli, ye tohar rumaal hai ka?”. Bunty muskai or kuch kuch ho hi gaya!

Woh dono kheto me ghume, gaana waana gaya. Pyaar ho hi gaya bunty aur babli ka. Par samaaj unke khilaaf bhayel. Bunty garib family se bhayel, you see. Par babli bunty ko pyaar karath, garibi amiri ko wasta nahi karath.

“Main tumhare bina mar jaungi, bunty”, bubbly kahel.

“Par ye samaaj hamare khilaaf bhayel, Bubbly. Tu amir bhayel, main garib bhayel.” Bunty ne bidi salkaya.

“Mujhe tere pyaar ke siba aur kuch nahi chahiye Bunty, aa gale lagja”, bubli kahel.

Sarpanch babulaal ke kaamdar yi sab dekh rahal khet ke kone se. Who kaamdar haweli ko daude aur sab khabar de hi diya. Sarpanch babulaal bahut ghussa ho gaye.

“Ey Bittu, mera rifle nikal re”, Sarpanch kahel

Bittu bada ghabraya, par sarpanch jo bole wo na kiya to bittu ki khair nahi howe raheth.

Bittu ne banduk thamadi, aur sarpanch nikle Bunty ko dhoodne gaao (village) me.

To be Continued howel …..


Last edited: 14-Mar-13 09:11 PM
Read Full Discussion Thread for this article