Posted by: Captain Haddock September 19, 2007
Cafe N v 17
Login in to Rate this Post:     0       ?        
Another oldie from the days of the dinasours. I like the lyrics. Reminds me in some ways of life on Sajha. The fifteen minutes of fame that we can all claim ... he he

Main pal do pal ka shayar hoon


Movie: Kabhi Kabhi (1976)
Music: Khaiyyam
Lyrics: Sahir Ludhianvi
Singer: Mukesh

Main pal do pal ka shaayar hoon
Pal do pal meri kahaani hai
Pal do pal meri hasti hai
Pal do pal meri jawaani hai

Mujhse pehle kitne shaayar
Aaye aur aakar chale gaye
Kuchh aahein bharkar laut gaye
Kuchh naghme gaakar chale gaye
Woh bhi ek pal ka kissa thhey
Main bhi ek pal ka kissa hoon
Kal tumse juda ho jaaoonga
Woh aaj tumhaara hissa hoon
Main pal do pal ka..

Kal aur aayenge nagmon ki
Khilti kaliya chunne waale
Mujhse behtar kehne waale
Tumse behtar sunne waale
Kal koi mujhko yaad kare
Kyoon koi mujhko yaad kare
Mashroof zamaana mere liye
Kyoon waqt apna barbaad kare
Main pal do pal ka..
Last edited: 19-Sep-07 08:11 PM
Read Full Discussion Thread for this article