Posted by: SimpleGal February 20, 2007
Soooo Happy - Finally I found
Login in to Rate this Post:     0       ?        
Ya that's a good one from waqt .....ode to your shrimati-ji, eh Nepe? ;) Another Ludhianvi favorite of mine, that resounds through time, and across boundaries of all kinds that humans create between each other ..... Tu hindu banega na musalman banega Insan ki aulad hai insaan banega Malik ne har insaan ko insaan banaya Hum ne usey hindu ya musalman banaya Kudrat ne to baskhi thi hamey ek hi dharti Hamne kahi bharat kahi iran banaya Accha hai abhi tak tera kuch naam nahi hai Tujhko kisi mazhab se koi kaam nahi hai Jis ilm ne insaan ko takseem kiya hai Uss ilm ka tujhpar koi ilzaam nahi hai Nafrat jo sikaye woh dharam tera nahi hai Insaan ko jo raundey woh kadam tera nahi hai Tu badle huye waqt ki pehechan banega Insaan ki aulad hai insaan banega .....
Read Full Discussion Thread for this article