Posted by: Neural January 18, 2006
which is ur fav dialogue in hindi movies
Login in to Rate this Post:     0       ?        
Conversation between MAUSI and JAY (in red t-shirt): Mausi: Arey beta bus eetna samajhlon kee ghar mein jawaan beti seeney par paththar kee sheel kee tarah hotee hein, Basanti kaa byaah (marriage) hojaaye toh chyen kaa saas loo. Jay: haa, such kahaa mausi aapne, bada bojh hein aap par. Mausi: lekin beta ees bojh kohi kuwain pey toh fek nahin detaa. Boora nahin maanna, itna toh puchhna hee padtaa hein kay LADKEY kaa khandan kyaa hein? uskaa lakshyan kaisaa hein? kamaata kitna hain? Jay: Kamaane kaa toh ey hein mausi kay ek baar biwi bachcho kay jimmewaari sir pey aagayee toh kamaanay bhee lagegaa. Mausi: Toh kyaa abhee kuch bhee nahin kamaataa? Jay: Nahin nahin ey maine ey kab kahaa mausi. Kamaataa hein lekin, AB roz roz toh aadmi jeet nahin saktaa, kabhee haar bhee jaataa hein bechaaraa. Mausi: haar jaataa hein? :O Jay: Haa, Mausi, ey kambakht juwaa cheeez hee aisee hein, ab main kyaa kahoon. Mausi: Haaaan :O Toh kyaa juwaadi hein? Jay: chhee chhee chhee chhee, Mausi, woh aur juwaadi?? naa na, woh toh bahut achhaa aur nek ladkaa hein. Lekin Mausi ek baar sharaab pili na feer achhey boorey kaa kahaa hosh rehtaa hein. Haat pakadkar baithaaleeyaa kisine juwaa khelne. Ab ismein bechaarey Veeru kaa kyaa dosh. Mausi: Theek kehte ho beta, juwaadi woh, sharabi woh, lekin uskaa kohi dosh nahi hein. Jay: tab toh aap mere dosh ko galat samajh rahee hein, woh toh eetnaa sidhaa aur bholaa hein, arein !! Basanti sey uskee shaadi karkey to dekhey. Ey juwey aur sharab kee aadat toh doh- din (2 days) mein chhut jaayegi. Mausi: arey beta, mujhey budhiyaa ko samjhaa rahein ho?? ey sharab aur juwey key aadat kisi kee chhutee hein aaj tak? Jay: mausi, aap Veeru ko nahin jaanti. Bishwash kijiye woh ees tarah kee insaan nahin hein. Ek baar shadi hogayee toh oos gaaney waley kee ghar jana bund (stop) kardegaa, bus. Sharaab apni aap chhoot jayegi. Mausi: Haaye Haaye !!! :O :O !! bus yehi ek kamee rehgayee thee? woh kyaa, kisi gaanewaaley kee ghar bhee aanaa-jaanaa hein? Jay: TOh ees mein kaun see boori baat hein mausi? arey gaanaa sunne toh raja-maharaja, uchey-uchey khandan kay log jaatey hein. Haa (giving stress) Mausi: Achhaa!! toh beta ey bhee bataake jaawo kay tumhaari ey gunwaan dosh kis khandan kay hein? Jay: bus Mausi, khandan kaa pataa chaltey hee hum aapko khabar dedengey (speaking quickly in a convincing way). Mausi: ek baat kee daat dungi beta, bhaley SAU (hundred) buraayeeyaa hein tumhaari dost mein, feer bhee tumhaari moo (mouth) say uskay leeye taaareef hee nikalti hein. Jay: Haa Haa (smiling a bit), kyaa karoon mausi, mera toh dil hee aisaa hein. TOH MEIN EY RISHTAA PAKKA SAMJHOOO ?????
Read Full Discussion Thread for this article