Posted by: raascal July 20, 2005
Login in to Rate this Post:
0
?
![](/wysiwyg/editor/images/smiley/msn/thumbs_up.gif)
![10 more flags than likes deactivates post.](/wysiwyg/editor/images/smiley/msn/thumbs_down.gif)
tere baarein mey jab sochaa nahin thaa....
main tanahaa thaa magar itna nahin thaa........
teri tasvir sey kartaa thaa baatein
mere kamarey mey aainaa nahin thaa
main tanahaa thaa magar itna nahin thaa.......
tere baarein mey jab sochaa nahin thaa.......
samandar ney mujhey pyasha hee rakhaa...
main jaba seheraa mey thaa..pyasa nahin thaa....
main tanahaa thaa magar itnaa nahin thaa....
tere baarein mey jab sochaa nahin thaa...
manaaney ruthney ki khel mey hum....
bichad jaaengey yeh sochaa nahin thaa....
main tanahaa thaa magar itnaa nahin thaa..
tere baarein mey jab sochaa nahin thaa.....
sunaa hai banda karlee usney aankhein....
kahee raaton sey woh soyaa nahin thaa....
main tanahaa thaa magar itnaa nahin thaa....
tere baarein mey jab sochaa nahin thaa......